"Yaad hai mujhe, woh exact pal…woh pal, jahaan meri saans to ruk gayi, par meri zindagi shuru hui! Pehli baar apne gande hone ka ehsaas hua, pehli baar maine khud ko kissi se kam paya…itna kam ke main kuch bhi nahin hoon, aur woh sab kuch hai! Uss pal se pehli ki zindagi ko bhool chuka tha main, aur agar kuch yaad tha to sirf woh! Meri saansein to ab tak ruki hui hain, itne saalon baad bhi…aaj bhi meri saansein tumhi se hain!”
“Pyaar mein do logon ka hona zarrori lekin pyaar dono taraf se ho, yeh zaroori nahi. Meri kahaani bhi to aisi hain.
15 saal se main usse pyaar karta hoon, ek tarfa pyaar, aur usse iss baath ki khabar tak nahi, lekin mujhe iss baat se koi parwaa nahim koi shikayat nahi. Apne pyaar ke badle mein, meri koi umeed lagayi nahi hain. Bas, pyar kiya hai aur karta rahoonga”
— Ranveer (Shakti Arora) - Epi 1: 24/6/2014
“Kehte hain insaan ki zindagi, uski pehli saas se shuru hoti hai, par meri zindagi tab se shuru hui jab meri saansein tam se gayi. Yaad hai mujhe woh pal jab saalon pehle usse dekha tha, uss ek pal mein meri saans tamhi aur meri zindagi shur ho gayi”
"Aashiqui karta hoon main ussi, Junoon hai, Har kisi ke bas ki baat nahi hai. Filmon mein dikhate hain, Kitaabon mein likhte hain, magar mehsoos bahaut kam log kar pate hain. Sirf yahi ek aisa ehsaas hai, Jis mein baki sare ehsaas bhula dene ki taqat hai. Tu dekhna ranveer, ek din tujhe bhi ho jayega. Aur uss din se tu ussi ke liye jiyega, Aur ussi ke liye tu maarne ko bhi tayyar ho jayega. Pyaar sirf pane ka naam nahi, balki usse mein kho jane ka naam hai."
-Meri Aashiqui Tumse Hi.
“…lekin jo har waqt mere khayalon mein hai, woh bas Ishaani hai, aur iss khayal ko main, apne se kabhi alag nahi kar sakta mein. Mein jaanta hoon, woh kabhi meri nahi ho sakti, ek din woh kissi sur ki hojayegi, lekin isse mera pyaar kam nahi hoga, mera pyaar ek tarfaa hi sahi, kaafi hai ek umar ke liye. Kya zaroora hai ki 2 log jo pyaar karte, shaadi hi kare? Dono hamesha saat rahe, Dono ki naam joddhiye jaayega? Pyaar toh apne aap mein muqakammal hota hai, usse kissi naam ki kya zaroorat hai. Mota babuji kehta hain na, aasiqui paane ka nahi, kho jaane ka naam, isiliye, isliye Ishaani…meri aashqui tumse hi…”
— Ranveer (Shakti Arora) - Epi 1: 24/6/2014
“Aashiqui paane ka naam nahi kho jaane ka naam hai, Isiliye Meri Aashiqui Tumse Hi, Ishaani”